Breaking

Sunday 26 May 2019

Wazifa for Shab e Qadr

Wazifa for Shab e Qadr
Assalam o Alaikum...Hamari is website per Daily apko new kuch na kuch acha milay ga ap na is website ko daily dekhtay rehna ha JAZAKALLAH...
namaz shab e qadr
namaz shab e qadr 

1.Ramadan Al Mubarak ki 21wi shab ko 4 Rakat Nafal 2 salam say parhain, Har rakat main Surah Al Fatiha kay bad Surah Al Qadar or Surah Al Ikhlaas 1-1 bar parhain. Bad As salam Darood Pak70 bar parhain.
InshaALLAh is namaz kay prhnay walay kay haq main farishtay Dua e Maghfirat karen ga.

Wazifa for Shab e Qadr
Wazifa for Shab e Qadr


2.Ramadan Al Mubarak ki  21wi Shab 2Rakat namaz parhain har rakat main Surah Al fatiha kay bad Surah Al Ikhlaas 3-3 bar parhain. Bad As salam 70 martaba Astagfar parhain.
Insha ALLAH is namaz or Shab e Qadar ki barkat say ALLAH Ta'ala is ki bakhshih farmai ga.

3.Ramadan Al Mubarak ki  21we Shab ko 21martaba Surah Al Qadar parhna b afzal ha.

1 comment: