Basic Information About Tilawat
Ibtidai Hedayaat
Quran Majeed ko us ki asal zaban arbi ma parhain.
Quran Majeed Ehl e Arab kay Lab o Lehja or Talaffuz kay husan kay sath parhain.
Quran Majeed kay aghaz main أعوذ بالله من الشيطان الرجيم or Surah kay shuru ma ﷽ parhain. Siwae surah tauba kay.
Doran e Tilawat Surah shuru ho jae to Sirf ﷽ parhain.
|
Basic Information About Tilawat |
Dooran e Tilawat koi dunyawi baat na karen. Agar koi bohat zaroori baat karni ho to Quran Majeed ko bandh karen or dobara Ta'awuz parh kar Tilawat Shuru karen.
Doran e Tilawat aik harf ko dosray harf say na badlain.
Harakat ko itna na kheenchay kay huroof ban jain.
Huroof e Maddah ki miqdar pori aik alif kay barabar ada karen.
Harakat o Sakanaat ma tabdeeli na karen.
Pur huroof ko pur or bareek huroof ko bareek ada karen.
Tilawat tehar tehar kar karen agar ho sakay tu tarjuma samjh kar parhain.
Quran Kareem ko kush al haani say parhain is tarah Quran kay husn ma azafa ho jata ha.
Ikhtitam e Tilawat par khair o barkat ki or Qabooliyat kay liye Dua karen.
Note: Aik alif ki miqdar aam halat main khuli ungli ko band karna ya band ungli ko kholna ha.
MA Shaa Allah Buhat Khub Allah Ap ko jaza e khair dey Ameen
ReplyDeleteMa Shaa Allah Allah humesha khush rakhey aur Iman wali lambi zindagi dey Ameen
ReplyDeleteAmeen JazakALLAH
Delete