Muqaddimah Ilm Tajweed
Kisi ilm ko shuru karnay say pehlay jin cheezo ka janna zaroori ha unko muqaddimah kehtay hain.
Muqaddimah Ilm Tajweed |
- Tajweed kay Ma'ana(معنیٰ): Umda karna, Acha karna.
- Tajweed ki Tareef: Har harf ko apny makhrij say tamam sifaat kay sath ada karna.
- Tajweed ka Mauzu(موضوع): Quran Paak kay huruf e Tahajji(ا-ی)
- Tajweed ki Gharz: Quran e paak ko sahi parhna.
- Tajweed ka Faida: Dono jahan main kamyabi hasil karna.
- Tajweed ka Ma'khuz(ماخذ): Yeh Ilm ALLAH Ta'ala ki taraf say nazil kiya gaya ha.
- Tajweed kay Arkan:
Tajweed kay 4 arkan hain:
- Harfoon kay Makharij ko Janna
- Harfoon ki Sifaat ko pehchnna,
- Mil kar Anay ki Soorat main Harfoon kay Qawaid ka Janna.
- Mahir Ustaad say seekhna or Zuban say Mashq karna
No comments:
Post a Comment